kuch khamosh alfaz
hain labo par dabe huye,
kuch ankahe haqeeqat
hain aks ko sataye huye,
kuch tadapte ehsaas
hain teri ore kheechte huye,
kuch chupe huye armaan
hain palko mein biche huye,
kuch deewane jazbaat
hain dil mein dhadkte huye,
kuch kashish gehri
hain bebas karte huye,
kuch zindagi ke safar adhure
hain tere bin kaate huye,
kuch lamhe churaye
hain haseen pal sanjote huye,
kuch taraste nigahe
hain mulakat ke aas lagaye huye,
kuch rishta darmiyaan
hain anjaane dor se bandhe huye,
kuch mohabaat ke nagme
hain dil ke kone mein sajaye huye,
kuch taqdeer se jhagda
hain tujhe apna banate huye.
hain labo par dabe huye,
kuch ankahe haqeeqat
hain aks ko sataye huye,
kuch tadapte ehsaas
hain teri ore kheechte huye,
kuch chupe huye armaan
hain palko mein biche huye,
kuch deewane jazbaat
hain dil mein dhadkte huye,
kuch kashish gehri
hain bebas karte huye,
kuch zindagi ke safar adhure
hain tere bin kaate huye,
kuch lamhe churaye
hain haseen pal sanjote huye,
kuch taraste nigahe
hain mulakat ke aas lagaye huye,
kuch rishta darmiyaan
hain anjaane dor se bandhe huye,
kuch mohabaat ke nagme
hain dil ke kone mein sajaye huye,
kuch taqdeer se jhagda
hain tujhe apna banate huye.
No comments:
Post a Comment